na kar kisi ki mohabbat ka eatibar na kar
na kar kisī kī mohabbat kā e.atibār na kar
tamām umr tamanna ko sogvār na kar
ḳhulūs-e-dil hai baḌī chiiz zindagī ke liye
zarā se ġham meñ garebāñ ko taar taar na kar
jabīn-e-shauq ko pāmāl kar na yaas ke naam
yuuñ zulm apnī javānī pe be-shumār na kar
unheñ to shaam Dhale niiñd aa ga.ī hogī
sahar ke vaqt sitāroñ kā intizār na kar
kahā thā us ne tumheñ pyaar ham bhī karte haiñ
to us kī bātoñ kā aise to e.atibār na kar
ye jaan kar bhī ki london pe 'raaj hai us kā
tū merī maan le us par yuuñ iḳhtiyār na kar
na kar kisi ki mohabbat ka eatibar na kar
tamam umr tamanna ko sogwar na kar
KHulus-e-dil hai baDi chiz zindagi ke liye
zara se gham mein gareban ko tar tar na kar
jabin-e-shauq ko pamal kar na yas ke nam
yun zulm apni jawani pe be-shumar na kar
unhen to sham Dhale nind aa gai hogi
sahar ke waqt sitaron ka intizar na kar
kaha tha us ne tumhein pyar hum bhi karte hain
to us ki baaton ka aise to eatibar na kar
ye jaan kar bhi ki london pe 'raj hai us ka
tu meri man le us par yun iKHtiyar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.