na kar to ai dil-e-majbur aah-e-zer-e-labi
na kar to ai dil-e-majbūr āh-e-zer-e-labī
na TuuT jaa.e kahīñ ye sukūt-e-nīm-shabī
ye kāvish-e-ġham-e-pinhāñ hai 'ishq kā hāsil
ravā nahīñ tirī furqat meñ ārzū-talabī
ḳhudā kare yahīñ ruk jaa.e gardish-e-daurāñ
hai rāzdār-e-mohabbat sukūt-e-nīm-shabī
kahāñ huā hai tū shikva-guzār-e-mahrūmī
jahāñ hai saañs bhī lenā kamāl-e-be-adabī
numūd-e-husn hai goyā sarāb kā 'ālam
ye kā.enāt hai hangāma haa.e bulajabī
dikhā rahā huuñ nasheb-o-farāz 'ālam ke
magar ye dil hai ki hai mahv-e-intihā-talabī
mujhe bhī faḳhr hai is silsile meñ ai 'sāqib'
ḳhudā kā shukr ki huuñ hāshmī-o-muttalabī
na kar to ai dil-e-majbur aah-e-zer-e-labi
na TuT jae kahin ye sukut-e-nim-shabi
ye kawish-e-gham-e-pinhan hai 'ishq ka hasil
rawa nahin teri furqat mein aarzu-talabi
KHuda kare yahin ruk jae gardish-e-dauran
hai raazdar-e-mohabbat sukut-e-nim-shabi
kahan hua hai tu shikwa-guzar-e-mahrumi
jahan hai sans bhi lena kamal-e-be-adabi
numud-e-husn hai goya sarab ka 'alam
ye kaenat hai hangama hae bulajabi
dikha raha hun nasheb-o-faraaz 'alam ke
magar ye dil hai ki hai mahw-e-intiha-talabi
mujhe bhi faKHr hai is silsile mein ai 'saqib'
KHuda ka shukr ki hun hashmi-o-muttalabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.