na kashtiyan hain na sahil hai aur na dariya hai
na kashtiyāñ haiñ na sāhil hai aur na dariyā hai
magar bhañvar meñ huuñ ye bhī ajab tamāshā hai
hazāroñ mas.ale purkhoñ kā qarz fāqa-kashī
ḳhud apne aap meñ har shaḳhs ik qabīla hai
ab us kī sāda-dilī is se baḌh ke kyā hogī
charāġh lā ke havāoñ kī zad pe rakhtā hai
patā maiñ apnā yahāñ kis se pūchhne jā.ūñ
ik ajnabī hai jo pahchān merī Thahrā hai
milā hai TuuT ke jab bhī milī huuñ maiñ tanhā
vo mahfiloñ meñ magar fāsle bhī rakhtā hai
use aziiz haiñ ma.asūm qahqahe ghar ke
to kyoñ vo raat ga.e lauT ke ghar aatā hai
na kashtiyan hain na sahil hai aur na dariya hai
magar bhanwar mein hun ye bhi ajab tamasha hai
hazaron masale purkhon ka qarz faqa-kashi
KHud apne aap mein har shaKHs ek qabila hai
ab us ki sada-dili is se baDh ke kya hogi
charagh la ke hawaon ki zad pe rakhta hai
pata main apna yahan kis se puchhne jaun
ek ajnabi hai jo pahchan meri Thahra hai
mila hai TuT ke jab bhi mili hun main tanha
wo mahfilon mein magar fasle bhi rakhta hai
use aziz hain masum qahqahe ghar ke
to kyon wo raat gae lauT ke ghar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.