na KHak-e-KHushk ke Thahre na shaKH-e-tar ke rahe
na ḳhāk-e-ḳhushk ke Thahre na shāḳh-e-tar ke rahe
ham apne ghar se uThe kyā ki dar-ba-dar ke rahe
hamārī fikr bhī ik dā.ere meñ qaid rahī
charāġh bhī jo hue ham to ik bhañvar ke rahe
vo log the jo kahānī ke markazī kirdār
vo harf-harf jiye ḳhvāb ḳhvāb mar ke rahe
shikastagī thī muqaddar badan the shīshe ke
zarā sī Thes bahāna huī bikhar ke rahe
lahū kī lahr uThī thī ki sar se guzregī
chaḌhe the kitne samandar magar utar ke rahe
havā ke saath hī ho leñ ye tajraba bhī sahī
simaT simaT ke rahe jis qadar bikhar ke rahe
chalo kahīñ piyeñ baiTheñ ġhazal sunā.eñ suneñ
ye mas.ale to mire dost umr-bhar ke rahe
na KHak-e-KHushk ke Thahre na shaKH-e-tar ke rahe
hum apne ghar se uThe kya ki dar-ba-dar ke rahe
hamari fikr bhi ek daere mein qaid rahi
charagh bhi jo hue hum to ek bhanwar ke rahe
wo log the jo kahani ke markazi kirdar
wo harf-harf jiye KHwab KHwab mar ke rahe
shikastagi thi muqaddar badan the shishe ke
zara si Thes bahana hui bikhar ke rahe
lahu ki lahr uThi thi ki sar se guzregi
chaDhe the kitne samandar magar utar ke rahe
hawa ke sath hi ho len ye tajraba bhi sahi
simaT simaT ke rahe jis qadar bikhar ke rahe
chalo kahin piyen baiThen ghazal sunaen sunen
ye masale to mere dost umr-bhar ke rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.