na Khaali zehn yun duniya ka rah jae
na ḳhālī zehn yuuñ duniyā kā rah jaa.e
ki saarā kaam naqsh-e-pā kā rah jaa.e
zamīnoñ par na yuuñ qabza kareñ shahr
koī to rāsta sahrā kā rah jaa.e
mire baare meñ lahreñ kuchh bhī socheñ
maiñ kahtā huuñ bharam dariyā kā rah jaa.e
jo rāh-e-jāñ meñ zāhir naqsh-e-jāñ ho
safar aadhā safar-paimā kā rah jaa.e
numūd-e-zaḳhm kam aur ye tamannā
qafas ho kar qafas-ārā kā rah jaa.e
alag hī us kā naġhma hai shajar par
qayām us tā.ir-e-tanhā kā rah jaa.e
na KHali zehn yun duniya ka rah jae
ki sara kaam naqsh-e-pa ka rah jae
zaminon par na yun qabza karen shahr
koi to rasta sahra ka rah jae
mere bare mein lahren kuchh bhi sochen
main kahta hun bharam dariya ka rah jae
jo rah-e-jaan mein zahir naqsh-e-jaan ho
safar aadha safar-paima ka rah jae
numud-e-zaKHm kam aur ye tamanna
qafas ho kar qafas-ara ka rah jae
alag hi us ka naghma hai shajar par
qayam us tair-e-tanha ka rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.