na KHanqahon ke sae na taj-o-taKHt mujhe
na ḳhānqāhoñ ke saa.e na tāj-o-taḳht mujhe
atā huā hai faqat dhuup kā daraḳht mujhe
vo sang-dil pa mulā.em sā hai dam-e-guftār
maiñ narm-dil huuñ pa lahja milā karaḳht mujhe
tamām umr kī mehnat pe pher de paanī
dikhā.e aañkh jab apne jigar kā laḳht mujhe
mire nasīb kī tārīkiyoñ se kam vāqif
samajh rahī hai ye duniyā sitāra-baḳht mujhe
qadam qadam pe hai yāroñ ko sīm-o-zar kī talāsh
duā buzurgoñ kī apne safar kā raḳht mujhe
harī-bharī hai bahut fasl-e-fikr-o-fan merī
ye aur baat zamīneñ milī haiñ saḳht mujhe
na KHanqahon ke sae na taj-o-taKHt mujhe
ata hua hai faqat dhup ka daraKHt mujhe
wo sang-dil pa mulaem sa hai dam-e-guftar
main narm-dil hun pa lahja mila karaKHt mujhe
tamam umr ki mehnat pe pher de pani
dikhae aankh jab apne jigar ka laKHt mujhe
mere nasib ki tarikiyon se kam waqif
samajh rahi hai ye duniya sitara-baKHt mujhe
qadam qadam pe hai yaron ko sim-o-zar ki talash
dua buzurgon ki apne safar ka raKHt mujhe
hari-bhari hai bahut fasl-e-fikr-o-fan meri
ye aur baat zaminen mili hain saKHt mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.