na KHalwat ras aati hai na hum mahfil mein rahte hain
na ḳhalvat raas aatī hai na ham mahfil meñ rahte haiñ
ye āḳhir kaun chhup-chhup kar hamāre dil meñ rahte haiñ
ghuTan be-tābiyāñ āThoñ pahar kī be-dilī aa.heñ
lagā kar tum se dil ham kis qadar mushkil meñ rahte haiñ
hamāre ham-nashīnoñ meñ tumhīñ ho raunaq-e-mahfil
ye baaqī qumqume haiñ zīnat-e-mahfil meñ rahte haiñ
ye shahr-e-husn hai ahl-e-junūñ kī baat rahne do
yahāñ to sāda-dil bhī narġha-e-qātil meñ rahte haiñ
junūñ chāk-e-garebāñ sar pe bāñdhe ḳhuun ugaltā hai
muġhīlānān-e-lailā.ī paḌe mahmil meñ rahte haiñ
jo palkoñ tak chale aate haiñ lekin bah nahīñ paate
vo aañsū dard ke sāñche meñ Dhal kar dil meñ rahte haiñ
harīf-e-mauj-e-dariyā sab haiñ lekin dekhnā ye hai
bhañvar meñ kitne kitne gosha-e-sāhil meñ rahte haiñ
mah-e-tābāñ haiñ ham tābindagī rag-rag meñ hai phir bhī
sitāroñ kī nikaltī Dūbtī jhilmil meñ rahte haiñ
yahāñ jādū-bayāñ kahte haiñ ahl-e-harf ko 'nāsir'
hunar vaale hamesha jehd-e-lā-hāsil meñ rahte haiñ
na KHalwat ras aati hai na hum mahfil mein rahte hain
ye aaKHir kaun chhup-chhup kar hamare dil mein rahte hain
ghuTan be-tabiyan aaThon pahar ki be-dili aahen
laga kar tum se dil hum kis qadar mushkil mein rahte hain
hamare ham-nashinon mein tumhin ho raunaq-e-mahfil
ye baqi qumqume hain zinat-e-mahfil mein rahte hain
ye shahr-e-husn hai ahl-e-junun ki baat rahne do
yahan to sada-dil bhi nargha-e-qatil mein rahte hain
junun chaak-e-gareban sar pe bandhe KHun ugalta hai
mughilanan-e-lailai paDe mahmil mein rahte hain
jo palkon tak chale aate hain lekin bah nahin pate
wo aansu dard ke sanche mein Dhal kar dil mein rahte hain
harif-e-mauj-e-dariya sab hain lekin dekhna ye hai
bhanwar mein kitne kitne gosha-e-sahil mein rahte hain
mah-e-taban hain hum tabindagi rag-rag mein hai phir bhi
sitaron ki nikalti Dubti jhilmil mein rahte hain
yahan jadu-bayan kahte hain ahl-e-harf ko 'nasir'
hunar wale hamesha jehd-e-la-hasil mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.