na KHarab hota main dhup mein na andheri raat mein ghumta
na KHarab hota main dhup mein na andheri raat mein ghumta
Shahid Makuli
MORE BYShahid Makuli
na ḳharāb hotā maiñ dhuup meñ na añdherī raat meñ ghūmtā
tū jo saath hotā to aur hī kisī kā.enāt meñ ghūmtā
tire zard ḳhitte meñ ḳhaak uḌāne se vaqt miltā agar kabhī
to maiñ zindagī tire sabz-posh ilāqa-jāt meñ ghūmtā
ye hijāb haTtā nigāh se ye ġhubār chhaTtā jo raah se
maiñ tirī nishāniyāñ dekhtā maiñ ajā.ibāt meñ ghūmtā
kahīñ rang dekhtā nau-ba-nau kahīñ jazb kartā mahak tirī
kabhī sair kartā sifāt meñ kabhī terī zaat meñ ghūmtā
yahī fitrat apnī jamāliyāt ke raaz aañkh pe kholtī
agar aadmī kabhī manzaroñ ke taġhayyurāt meñ ghūmtā
vo to yuuñ huā ki ḳhumār-e-rang chhalak paḌā mirī aañkh se
mirā sar vagarna jo ghūmtā to chaman bhī saath meñ ghūmtā
kahīñ aks chūmtā chāñd kā kahīñ jhūmtā kisī lahr par
maiñ ubharte Dūbte kā.enātī tanāzurāt meñ ghūmtā
kabhī jā nikaltā maiñ dhuup meñ kabhī chāñdnī ke sarūp meñ
tire gird ghūmtī raushnī ke talāzumāt meñ ghūmtā
maiñ isī liye to bachā huā thā ġhubār-e-gardish-e-vaqt se
vo jahāñ ghumātā maiñ bas vahīñ kī jamāliyāt meñ ghūmtā
na yahāñ tulū-o-ġhurūb hai na koī shumāl-o-junūb hai
ye maiñ kis taraf nikal aayā huuñ tire shash-jahāt meñ ghūmtā
mirā dil to shams-e-abad ke gird tavāf kartī zamīn hai
ye koī globe to hai nahīñ jo tumhāre haath meñ ghūmtā
ka.ī 'shāhid' aur bhī mintaqe haiñ makāñ zamāñ se juḌe hue
mujhe raah miltī to maiñ vahāñ ke tahayyurāt meñ ghūmtā
na KHarab hota main dhup mein na andheri raat mein ghumta
tu jo sath hota to aur hi kisi kaenat mein ghumta
tere zard KHitte mein KHak uDane se waqt milta agar kabhi
to main zindagi tere sabz-posh ilaqa-jat mein ghumta
ye hijab haTta nigah se ye ghubar chhaTta jo rah se
main teri nishaniyan dekhta main ajaibaat mein ghumta
kahin rang dekhta nau-ba-nau kahin jazb karta mahak teri
kabhi sair karta sifat mein kabhi teri zat mein ghumta
yahi fitrat apni jamaliyat ke raaz aankh pe kholti
agar aadmi kabhi manzaron ke taghayyuraat mein ghumta
wo to yun hua ki KHumar-e-rang chhalak paDa meri aankh se
mera sar wagarna jo ghumta to chaman bhi sath mein ghumta
kahin aks chumta chand ka kahin jhumta kisi lahr par
main ubharte Dubte kaenati tanazuraat mein ghumta
kabhi ja nikalta main dhup mein kabhi chandni ke sarup mein
tere gird ghumti raushni ke talazumat mein ghumta
main isi liye to bacha hua tha ghubar-e-gardish-e-waqt se
wo jahan ghumata main bas wahin ki jamaliyat mein ghumta
na yahan tulu-o-ghurub hai na koi shumal-o-junub hai
ye main kis taraf nikal aaya hun tere shash-jahat mein ghumta
mera dil to shams-e-abad ke gird tawaf karti zamin hai
ye koi globe to hai nahin jo tumhaare hath mein ghumta
kai 'shahid' aur bhi mintaqe hain makan zaman se juDe hue
mujhe rah milti to main wahan ke tahayyuraat mein ghumta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.