na KHatm hogi kabhi ab ye bad-hawasi kya
na ḳhatm hogī kabhī ab ye bad-havāsī kyā
rahegī roz ye dhartī lahū kī pyāsī kyā
badan ke saath hī rūheñ bhī aaj haiñ uryāñ
libās aise meñ kyā aur be-libāsī kyā
jahāñ ke log badalte hoñ roz ā.īne
vahāñ ke logoñ se ummīd-e-ḳhud-shanāsī kyā
jise bhī dekhiye aatā hai poñchhne aañsū
tamām log yahāñ ho ga.e siyāsī kyā
hamīñ ko dekh ke hairān kyoñ haiñ ā.īne
faqat hamāre hī chehre pe hai udāsī kyā
mirī ġhazal pe nahīñ dhun rahā hai koī bhī sar
mirī ġhazal ke mazāmīn bhī haiñ baasī kyā
na KHatm hogi kabhi ab ye bad-hawasi kya
rahegi roz ye dharti lahu ki pyasi kya
badan ke sath hi ruhen bhi aaj hain uryan
libas aise mein kya aur be-libasi kya
jahan ke log badalte hon roz aaine
wahan ke logon se ummid-e-KHud-shanasi kya
jise bhi dekhiye aata hai ponchhne aansu
tamam log yahan ho gae siyasi kya
hamin ko dekh ke hairan kyon hain aaine
faqat hamare hi chehre pe hai udasi kya
meri ghazal pe nahin dhun raha hai koi bhi sar
meri ghazal ke mazamin bhi hain basi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.