na KHatra tirgi se tha na KHatra tirgi ka hai
na ḳhatra tīrgī se thā na ḳhatra tīrgī kā hai
dar-o-dīvār pe pahrā abhī tak raushnī kā hai
nahā kar ḳhuun meñ kāñToñ pe aksar raqs kartā huuñ
ye mastī be-ḳhudī kī hai ye nashsha zindagī kā hai
hai āḳhir kis liye qazzāq-e-ġham paiham ta.āqub meñ
tasarruf meñ hamāre kyā koī lamha ḳhushī kā hai
milūñ kis taur maiñ ḳhud se tashaḳhḳhus kis tarah DhūñDūñ
yahāñ to ā.ina-dar-ā.īna chehra usī kā hai
ye sochā hai ki chal kar dostoñ ke dar pe dastak duuñ
irāda aaj apne aap se kuchh dushmanī kā hai
mirī āñkhoñ ko nisbat hai kisī ḳhurshed paikar se
na ye shoḳhī anā kī hai na ye partav ḳhudī kā hai
yaqīñ āsār lamhoñ par jo sach pūchho to raaz ab tak
hukūmat vahm hī kī hai tasallut ḳhvāb hī kā hai
na KHatra tirgi se tha na KHatra tirgi ka hai
dar-o-diwar pe pahra abhi tak raushni ka hai
naha kar KHun mein kanTon pe aksar raqs karta hun
ye masti be-KHudi ki hai ye nashsha zindagi ka hai
hai aaKHir kis liye qazzaq-e-gham paiham taaqub mein
tasarruf mein hamare kya koi lamha KHushi ka hai
milun kis taur main KHud se tashaKHKHus kis tarah DhunDun
yahan to aaina-dar-aina chehra usi ka hai
ye socha hai ki chal kar doston ke dar pe dastak dun
irada aaj apne aap se kuchh dushmani ka hai
meri aankhon ko nisbat hai kisi KHurshed paikar se
na ye shoKHi ana ki hai na ye partaw KHudi ka hai
yaqin aasar lamhon par jo sach puchho to raaz ab tak
hukumat wahm hi ki hai tasallut KHwab hi ka hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 518)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.