na KHud ko zamane se anjaan rakh
na ḳhud ko zamāne se anjān rakh
khulī apnī āñkheñ khule kaan rakh
nahīñ rahtā yaksāñ rutoñ kā mizāj
safar meñ zarūrat ke sāmān rakh
kahīñ vaqt se pahle murjhā na jaa.e
kitchen se bahut duur gul-dān rakh
kahāñ tujh se laġhzish huī pahle soch
na bejā kisī par bhī bohtān rakh
havā narm chalne ko betāb hai
umas ḳhatm hone kā imkān rakh
mohazzab abhī bhī haiñ nagrī ke log
khulā naaf tak mat garebān rakh
bahut ho chukā mātam-e-zindagī
'shafaq' bhīge chehroñ pe muskān rakh
na KHud ko zamane se anjaan rakh
khuli apni aankhen khule kan rakh
nahin rahta yaksan ruton ka mizaj
safar mein zarurat ke saman rakh
kahin waqt se pahle murjha na jae
kitchen se bahut dur gul-dan rakh
kahan tujh se laghzish hui pahle soch
na beja kisi par bhi bohtan rakh
hawa narm chalne ko betab hai
umas KHatm hone ka imkan rakh
mohazzab abhi bhi hain nagri ke log
khula naf tak mat gareban rakh
bahut ho chuka matam-e-zindagi
'shafaq' bhige chehron pe muskan rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.