na khul kar dushmani ka wo kabhi izhaar karta hai
na khul kar dushmanī kā vo kabhī iz.hār kartā hai
baḌā kam-zarf hai chhup kar hamesha vaar kartā hai
kahāñ raġhbat rahī hai aaj bachchoñ ko khilaunoñ se
ye vo tabqa hai jo ab chāquoñ se pyaar kartā hai
kabhī koī bhī ġham us shaḳhs par ġhālib nahīñ aatā
vo kaisā shaḳhs hai mahrūmiyoñ se pyaar kartā hai
kabhī to us kī bātoñ se gumāñ hotā hai phūloñ kā
kabhī nashtar chubho kar vo jigar ke paar kartā hai
jo da.avā kartā rahtā hai masīhā.ī kā har lamha
ta.assub kī khaḌī 'ahzan' vahī dīvār kartā hai
na khul kar dushmani ka wo kabhi izhaar karta hai
baDa kam-zarf hai chhup kar hamesha war karta hai
kahan raghbat rahi hai aaj bachchon ko khilaunon se
ye wo tabqa hai jo ab chaquon se pyar karta hai
kabhi koi bhi gham us shaKHs par ghaalib nahin aata
wo kaisa shaKHs hai mahrumiyon se pyar karta hai
kabhi to us ki baaton se guman hota hai phulon ka
kabhi nashtar chubho kar wo jigar ke par karta hai
jo dawa karta rahta hai masihai ka har lamha
tassub ki khaDi 'ahzan' wahi diwar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.