na KHwahish hai gadai ki na hai arman shahi ka
na ḳhvāhish hai gadā.ī kī na hai armān shāhī kā
ilāhī ishq de bande ko mahbūb-e-ilāhī kā
agar rakkhe tire kūche kī sarhad se qadam bāhar
gumāñ phir ḳhizr par le jaa.eñ ham gum-karda raahī kā
yahāñ to dāġh-e-ḳhūñ dāman se dhoyā tū ne ai hāmil
vahāñ ik din khilegā gul hamārī be-gunāhī kā
bahut āshiq to maqtūl-e-nigāh-o-ġhamza haiñ lekin
ye terā nīm-jāñ bismil hai terī kam-nigāhī kā
ġhulāmī 'ḳhusrav'-e-dehlī kī hai 'mārūf' faḳhr apnā
ki ham āshiq hai ham ma.ashūq mahbūb-e-ilāhī kā
na KHwahish hai gadai ki na hai arman shahi ka
ilahi ishq de bande ko mahbub-e-ilahi ka
agar rakkhe tere kuche ki sarhad se qadam bahar
guman phir KHizr par le jaen hum gum-karda rahi ka
yahan to dagh-e-KHun daman se dhoya tu ne ai hamil
wahan ek din khilega gul hamari be-gunahi ka
bahut aashiq to maqtul-e-nigah-o-ghamza hain lekin
ye tera nim-jaan bismil hai teri kam-nigahi ka
ghulami 'KHusraw'-e-dehli ki hai 'maruf' faKHr apna
ki hum aashiq hai hum mashuq mahbub-e-ilahi ka
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.