na ki fikr din ki na ki raat ki
na kī fikr din kī na kī raat kī
tabhī to huī mo'tabar bandagī
vo khul kar nahīñ kar rahā dushmanī
kare bhī to aise meñ kyā aadmī
hamīñ ne rakhā sar chaḌhā kar use
hamārī hī hone lagī kirkirī
tujhe faisle kā nahīñ iḳhtiyār
tū kar guftugū ko abhī multavī
abhī tak to be-samt hai kārvāñ
to kis kaam kī hai tirī rahbarī
khaḌe haath dariyā ne bhī kar diye
huī rū-barū jab mirī tishnagī
na ki fikr din ki na ki raat ki
tabhi to hui mo'tabar bandagi
wo khul kar nahin kar raha dushmani
kare bhi to aise mein kya aadmi
hamin ne rakha sar chaDha kar use
hamari hi hone lagi kirkiri
tujhe faisle ka nahin iKHtiyar
tu kar guftugu ko abhi multawi
abhi tak to be-samt hai karwan
to kis kaam ki hai teri rahbari
khaDe hath dariya ne bhi kar diye
hui ru-baru jab meri tishnagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.