na ki jafaon mein usne koi kasar phir bhi
na ki jafaon mein usne koi kasar phir bhi
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
na kī jafāoñ meñ us ne koī kasar phir bhī
lage hue the umīdoñ ko merī par phir bhī
tumhārī yaad se vābasta hai hayāt mirī
kisī kā yuuñ to huā kaun umr bhar phir bhī
tum apne gird fasīleñ banā ke baiThe ho
huā to hogā mirī yaad kā guzar phir bhī
charāġh āñkhoñ ke vīrān hote jaate haiñ
tumhārī raah se uThtī nahīñ nazar phir bhī
tamām ruup liye chāñdnī chalī aa.ī
hamārā dil rahā tārīk ek ghar phir bhī
na raushnī hai koī aur na rāste ma.alūm
chale haiñ aaj tire saath be-ḳhatar phir bhī
tamām umr diyā maiñ ne apnā ḳhūn-e-jigar
milā na mujh ko koī sāya-e-shajar phir bhī
bahut thī chaah dil-e-nā-tavāñ ruk jaa.e
tavīl hotā gayā umr kā safar phir bhī
na ki jafaon mein us ne koi kasar phir bhi
lage hue the umidon ko meri par phir bhi
tumhaari yaad se wabasta hai hayat meri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
tum apne gird fasilen bana ke baiThe ho
hua to hoga meri yaad ka guzar phir bhi
charagh aankhon ke viran hote jate hain
tumhaari rah se uThti nahin nazar phir bhi
tamam rup liye chandni chali aai
hamara dil raha tarik ek ghar phir bhi
na raushni hai koi aur na raste malum
chale hain aaj tere sath be-KHatar phir bhi
tamam umr diya main ne apna KHun-e-jigar
mila na mujh ko koi saya-e-shajar phir bhi
bahut thi chah dil-e-na-tawan ruk jae
tawil hota gaya umr ka safar phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.