na kisi aqiq ki justuju na kisi guhar ki talash hai
na kisī aqiiq kī justujū na kisī guhar kī talāsh hai
jo kisī kā dard baTā sake mujhe us bashar kī talāsh hai
jahāñ amn-o-ḳhair kī ho fazā jahāñ ek ek pe ho fidā
jahāñ fikr-o-ġham se mile mafar mujhe us nagar kī talāsh hai
jo maiñ phir rahā huuñ galī galī ye na jāniye huuñ junūñ-zada
hai vabāl-e-dosh ye sar mirā kisī sang-e-dar kī talāsh hai
mirā maġhz chāTo na nāseho mujhe chhoḌ do mire haal par
huuñ maiñ dil ke rog meñ mubtalā kisī chārāgar kī talāsh hai
banī baat hasb-e-duā magar na ga.ī hamārī talab abhī
na hue haiñ ḳhuub pe muktafī hameñ ḳhūb-tar kī talāsh hai
na kisi aqiq ki justuju na kisi guhar ki talash hai
jo kisi ka dard baTa sake mujhe us bashar ki talash hai
jahan amn-o-KHair ki ho faza jahan ek ek pe ho fida
jahan fikr-o-gham se mile mafar mujhe us nagar ki talash hai
jo main phir raha hun gali gali ye na jaaniye hun junun-zada
hai wabaal-e-dosh ye sar mera kisi sang-e-dar ki talash hai
mera maghz chaTo na naseho mujhe chhoD do mere haal par
hun main dil ke rog mein mubtala kisi chaaragar ki talash hai
bani baat hasb-e-dua magar na gai hamari talab abhi
na hue hain KHub pe muktafi hamein KHub-tar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.