na kisi jin se na haiwan se Dar lagta hai
na kisī jin se na haivān se Dar lagtā hai
aaj ke daur meñ insān se Dar lagtā hai
roz marne kī ḳhabar aatī hai rab ke ghar se
ab to masjid ke har elaan se Dar lagtā hai
ai ḳhudāyā mirī āñkhoñ ko samundar kar de
shahr vāloñ ko bayābān se Dar lagtā hai
ham ko allāh ke bandoñ se koī ḳhauf nahīñ
ham ko kāfir se musalmān se Dar lagtā hai
mutma.in huuñ ki mirā saath nibhāoge magar
duur ho jaane ke imkān se Dar lagtā hai
phir na rishta koī aaya ho javāñ beTī kā
ghar meñ aate hue mehmān se Dar lagtā hai
mujh ko āzād karo mujh ko bikharnā hai 'razā'
maiñ vo gul huuñ jise gul-dān se Dar lagtā hai
na kisi jin se na haiwan se Dar lagta hai
aaj ke daur mein insan se Dar lagta hai
roz marne ki KHabar aati hai rab ke ghar se
ab to masjid ke har elan se Dar lagta hai
ai KHudaya meri aankhon ko samundar kar de
shahr walon ko bayaban se Dar lagta hai
hum ko allah ke bandon se koi KHauf nahin
hum ko kafir se musalman se Dar lagta hai
mutmain hun ki mera sath nibhaoge magar
dur ho jaane ke imkan se Dar lagta hai
phir na rishta koi aaya ho jawan beTi ka
ghar mein aate hue mehman se Dar lagta hai
mujh ko aazad karo mujh ko bikharna hai 'raza'
main wo gul hun jise gul-dan se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.