na kisi se karam ki umid rakhen na kisi ke sitam ka KHayal karen
na kisi se karam ki umid rakhen na kisi ke sitam ka KHayal karen
Sahar Ansari
MORE BYSahar Ansari
na kisī se karam kī umiid rakheñ na kisī ke sitam kā ḳhayāl kareñ
hameñ kaun se ranj mile haiñ na.e ki jo dil ke ziyāñ kā malāl kareñ
abhī sirf ḳhayāl hai ḳhvāb-numā abhī sarf-e-nazar hai sarāb-numā
zarā aur ḳharāb ho vaz-e-junūñ to vo zahmat-e-pursish-e-hāl kareñ
vahī shahr hai shahr ke log vahī ġham-e-ḳhanda o sañg o salīb vahī
yahāñ aa.e haiñ kaun se aise saḳhī ki jo lutf-e-suḳhan kā savāl kareñ
sune kaun ye ta.ana-e-chāra-garī sahe kaun ye dāġh-e-kamāl-e-rafū
chalo dard-e-vajūd jagā.eñ sahar chalo zaḳhm-e-hayāt bahāl kareñ
na kisi se karam ki umid rakhen na kisi ke sitam ka KHayal karen
hamein kaun se ranj mile hain nae ki jo dil ke ziyan ka malal karen
abhi sirf KHayal hai KHwab-numa abhi sarf-e-nazar hai sarab-numa
zara aur KHarab ho waz-e-junun to wo zahmat-e-pursish-e-haal karen
wahi shahr hai shahr ke log wahi gham-e-KHanda o sang o salib wahi
yahan aae hain kaun se aise saKHi ki jo lutf-e-suKHan ka sawal karen
sune kaun ye tana-e-chaara-gari sahe kaun ye dagh-e-kamal-e-rafu
chalo dard-e-wajud jagaen sahar chalo zaKHm-e-hayat bahaal karen
- Book : namuud (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.