na koi aabla-pai na ghaw chahti hai
na koī ābla-pā.ī na ghaav chāhtī hai
hamārī ḳhāna-badoshī paḌāv chāhtī hai
sukūt-e-dahr ragoñ meñ utar na jaa.e kahīñ
ye Thahrī Thahrī tabī.at bahāv chāhtī hai
maiñ ik faqīr use de chukā huuñ kab kā talāq
magar ye duniyā ki mujh se lagāo chāhtī hai
havā-e-bahr havas meñ ThiThurne vaalī ruuh
laboñ kī aag badan kā alaav chāhtī hai
koī bhī shaḳhs pahuñchtā nahīñ kināre par
ye nāḳhudā kī hai sāzish yā naav chāhtī hai
na.ī navelī dulhan kī hatheliyoñ kī tarah
mirī ġhazal bhī hamesha rachāo chāhtī hai
na koi aabla-pai na ghaw chahti hai
hamari KHana-badoshi paDaw chahti hai
sukut-e-dahr ragon mein utar na jae kahin
ye Thahri Thahri tabiat bahaw chahti hai
main ek faqir use de chuka hun kab ka talaq
magar ye duniya ki mujh se lagao chahti hai
hawa-e-bahr hawas mein ThiThurne wali ruh
labon ki aag badan ka alaw chahti hai
koi bhi shaKHs pahunchta nahin kinare par
ye naKHuda ki hai sazish ya naw chahti hai
nai naweli dulhan ki hatheliyon ki tarah
meri ghazal bhi hamesha rachao chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.