na koi baat kahni hai na koi kaam karna hai
na koī baat kahnī hai na koī kaam karnā hai
aur us ke baad kaafī der tak ārām karnā hai
is āġhāz-e-mohabbat hī meñ puure ho ga.e ham to
ise ab aur kyā sharminda-e-anjām karnā hai
bahut be-sūd hai lekin abhī kuchh aur din mujh ko
savād-e-sub.h meñ rah kar shumār-e-shām karnā hai
nishāñ denā hai maiñ ne kuchh ġhubār-ālūd samtoñ kā
koī kaafī purānā raaz tasht-az-bām karnā hai
badī ke taur par karnī hai nekī bhī mohabbat meñ
ki jo bhī kaam karnā hai vo be-hañgām karnā hai
abhī to kār-e-ḳhair itnā paḌā hai sāmne mere
abhī to maiñ ne har ḳhaas aadmī ko aam karnā hai
koī badla chukānā hai vafā ke naam par us se
masāfat ke liye uThnā hai aur bisrām karnā hai
kamā.ī umr bhar kī hai yahī ik jā.idād apnī
so ye ḳhvāb-e-tamāshā ab kisī ke naam karnā hai
ik āġhāz-e-safar hai ai 'zafar' ye puḳhta-kārī bhī
abhī to maiñ ne apnī puḳhtagī ko ḳhaam karnā hai
na koi baat kahni hai na koi kaam karna hai
aur us ke baad kafi der tak aaram karna hai
is aaghaz-e-mohabbat hi mein pure ho gae hum to
ise ab aur kya sharminda-e-anjam karna hai
bahut be-sud hai lekin abhi kuchh aur din mujh ko
sawad-e-subh mein rah kar shumar-e-sham karna hai
nishan dena hai main ne kuchh ghubar-alud samton ka
koi kafi purana raaz tasht-az-baam karna hai
badi ke taur par karni hai neki bhi mohabbat mein
ki jo bhi kaam karna hai wo be-hangam karna hai
abhi to kar-e-KHair itna paDa hai samne mere
abhi to main ne har KHas aadmi ko aam karna hai
koi badla chukana hai wafa ke nam par us se
masafat ke liye uThna hai aur bisram karna hai
kamai umr bhar ki hai yahi ek jaidad apni
so ye KHwab-e-tamasha ab kisi ke nam karna hai
ek aaghaz-e-safar hai ai 'zafar' ye puKHta-kari bhi
abhi to main ne apni puKHtagi ko KHam karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.