na koi dar na daricha magar makan to hai
na koī dar na darīcha magar makān to hai
zamīñ hai zer-e-qadam sar pe āsmān to hai
hazār jalvoñ kā to rāz-dāñ hai ā.īna
huī na aañkh mayassar tujhe zabān to hai
badaltā rahtā hai rang āsmān lamhoñ meñ
sitam-shi.ār abhī mujh se ḳhush-gumān to hai
ġham-e-hayāt se ghabrā ke tajrabe ke liye
chale hī jā.eñge ab dūsrā jahāñ to hai
tamām sahrā-o-dasht-o-jabal kaheñ labbaik
azal se phailī fazāoñ meñ ik azaan to hai
zahe-nasīb jagah thoḌī chashm-e-tar meñ milī
sulagtī dhuup meñ ik sard sā.ebān to hai
mohr-ba-lab huuñ pa shart-e-kalām qaa.em hai
mirī shakeb-e-ayāzī kā imtihān to hai
sa.uud fikr-e-taġhazzul ko bojh hai to rahe
har ek harf haqīqat kā tarjumān to hai
asar ke she'r meñ husn-o-kashīsh kī hai taujīh
na.ī jihat na sahī zeb-e-dāstān to hai
na koi dar na daricha magar makan to hai
zamin hai zer-e-qadam sar pe aasman to hai
hazar jalwon ka to raaz-dan hai aaina
hui na aankh mayassar tujhe zaban to hai
badalta rahta hai rang aasman lamhon mein
sitam-shiar abhi mujh se KHush-guman to hai
gham-e-hayat se ghabra ke tajrabe ke liye
chale hi jaenge ab dusra jahan to hai
tamam sahra-o-dasht-o-jabal kahen labbaik
azal se phaili fazaon mein ek azan to hai
zahe-nasib jagah thoDi chashm-e-tar mein mili
sulagti dhup mein ek sard saeban to hai
mohr-ba-lab hun pa shart-e-kalam qaem hai
meri shakeb-e-ayazi ka imtihan to hai
saud fikr-e-taghazzul ko bojh hai to rahe
har ek harf haqiqat ka tarjuman to hai
asar ke she'r mein husn-o-kashish ki hai taujih
nai jihat na sahi zeb-e-dastan to hai
- Book : Shajare Sayadar (Poetry) (Pg. 111)
- Author : Marghoob Asar Fatmi
- Publication : Arshia Publications (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.