na koi dost ho mera na ho adu mera
na koī dost ho merā na ho adū merā
tum apne muñh se agar kah do mujh ko tū merā
fasurdagī meñ junūn-e-havā-e-gul ya.anī
ḳhizāñ ke daur meñ saudā-e-rang-o-bū merā
jo tum nahīñ to bahār-e-jināñ meñ ḳhaak nahīñ
bahut vasī.a hai dāmān-e-ārzū merā
nibhegī ai dil-e-āvāra ab na tujh se mirī
bas aaj se na maiñ terā huuñ aur na tū merā
banā rahe haiñ vo jalve kī apne tasvīreñ
dikhā dikhā ke tamāshā-e-rang-o-bū merā
kisī kī zulf-e-siyah kah rahī hai khul khul kar
ghaTā ne rang uḌāyā hai hū-ba-hū merā
mah-e-siyām kā aur intizām kyā karte
janāb-e-shaiḳh uḌā le ga.e subū merā
jafā kā rang judā hai vafā kā rang judā
malo na dast-e-hinā.ī meñ tum lahū merā
taḌap rahī hai jo abr-e-siyāh meñ bijlī
firāq meñ yahī naqsha thā hū-ba-hū merā
suhānī raat hai chhiTkī hai chāñdnī 'muztar'
mirī nigāh meñ phirtā hai māh-rū merā
na koi dost ho mera na ho adu mera
tum apne munh se agar kah do mujh ko tu mera
fasurdagi mein junun-e-hawa-e-gul yani
KHizan ke daur mein sauda-e-rang-o-bu mera
jo tum nahin to bahaar-e-jinan mein KHak nahin
bahut wasia hai daman-e-arzu mera
nibhegi ai dil-e-awara ab na tujh se meri
bas aaj se na main tera hun aur na tu mera
bana rahe hain wo jalwe ki apne taswiren
dikha dikha ke tamasha-e-rang-o-bu mera
kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar
ghaTa ne rang uDaya hai hu-ba-hu mera
mah-e-siyam ka aur intizam kya karte
janab-e-shaiKH uDa le gae subu mera
jafa ka rang juda hai wafa ka rang juda
malo na dast-e-hinai mein tum lahu mera
taDap rahi hai jo abr-e-siyah mein bijli
firaq mein yahi naqsha tha hu-ba-hu mera
suhani raat hai chhiTki hai chandni 'muztar'
meri nigah mein phirta hai mah-ru mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.