na koi ishq raha aur na mohabbat hai tumhein
na koī ishq rahā aur na mohabbat hai tumheñ
saaf zāhir hai ki ab mujh se adāvat hai tumheñ
mas.ala hal nahīñ hogā kabhī ḳhāmoshī se
lab ko jumbish do agar koī shikāyat hai tumheñ
maiñ tumheñ chhoḌ ke jā.ūñ ye nahīñ ho saktā
tum mujhe chhoḌnā chāho to ijāzat hai tumheñ
muskurāte hue chehre pe udāsī kaisī
kyā mirī jaan mire saath aziyyat hai tumheñ
tum kisī ek ke rahte nahīñ sikke kī tarah
vaqt ke saath badal jaane kī aadat hai tumheñ
yuuñ tamāshā na karo tark-e-ta.alluq kar lo
itnī pyārī agar ajdād kī izzat hai tumheñ
khelte rahte ho ma.asūm diloñ se aksar
khelnā dil se koī shauq nahīñ lat hai tumheñ
zindagī rang se be-rang nazar aa.egī
titliyāñ qaid na karnā ye nasīhat hai tumheñ
mai huī ḳhatm to saaqī ne kahā hazrat-e-qais
ashk pī lījiye gar pyaas kī shiddat hai tumheñ
merī tanhā.ī mujhe dekh ke farmātī hai
mere hote hue aur kis kī zarūrat hai tumheñ
na koi ishq raha aur na mohabbat hai tumhein
saf zahir hai ki ab mujh se adawat hai tumhein
masala hal nahin hoga kabhi KHamoshi se
lab ko jumbish do agar koi shikayat hai tumhein
main tumhein chhoD ke jaun ye nahin ho sakta
tum mujhe chhoDna chaho to ijazat hai tumhein
muskuraate hue chehre pe udasi kaisi
kya meri jaan mere sath aziyyat hai tumhein
tum kisi ek ke rahte nahin sikke ki tarah
waqt ke sath badal jaane ki aadat hai tumhein
yun tamasha na karo tark-e-talluq kar lo
itni pyari agar ajdad ki izzat hai tumhein
khelte rahte ho masum dilon se aksar
khelna dil se koi shauq nahin lat hai tumhein
zindagi rang se be-rang nazar aaegi
titliyan qaid na karna ye nasihat hai tumhein
mai hui KHatm to saqi ne kaha hazrat-e-qais
ashk pi lijiye gar pyas ki shiddat hai tumhein
meri tanhai mujhe dekh ke farmati hai
mere hote hue aur kis ki zarurat hai tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.