na koi KHwab kamaya na aankh Khaali hui
na koī ḳhvāb kamāyā na aañkh ḳhālī huī
tumhāre saath hamārī bhī raat kaalī huī
ḳhudā kā shukr adā kar vo bevafā niklā
ḳhushī manā ki tirī jaan kī bahālī huī
zarā se ḳhvāb bune the ki saañs phuul ga.ī
qadam dukāñ pe rakhā thā ki jeb ḳhālī huī
vafā ke baare meñ logoñ kī raa.e Thiik nahīñ
briādrī se ye ḳhātūn hai nikālī huī
tumhī to sar pe biThā.e hue the duniyā ko
tumhī pe bhauñk rahī hai tumhārī paalī huī
maiñ kaise dekhūñ ravā-dāriyoñ ko miTte hue
ye dāġh-bel hai mere baḌoñ kī Daalī huī
jo ahl-e-naqd-o-nazar haiñ idhar bhī ġhaur kareñ
ki ye ġhazal bhī hai tarkīb se nikālī huī
ye qāfiya baḌī diqqat ke saath nazm huā
baḌe hunar se ye aurat mrs 'jamālī' huī
na koi KHwab kamaya na aankh KHali hui
tumhaare sath hamari bhi raat kali hui
KHuda ka shukr ada kar wo bewafa nikla
KHushi mana ki teri jaan ki bahaali hui
zara se KHwab bune the ki sans phul gai
qadam dukan pe rakha tha ki jeb KHali hui
wafa ke bare mein logon ki rae Thik nahin
briadri se ye KHatun hai nikali hui
tumhi to sar pe biThae hue the duniya ko
tumhi pe bhaunk rahi hai tumhaari pali hui
main kaise dekhun rawa-dariyon ko miTte hue
ye dagh-bel hai mere baDon ki Dali hui
jo ahl-e-naqd-o-nazar hain idhar bhi ghaur karen
ki ye ghazal bhi hai tarkib se nikali hui
ye qafiya baDi diqqat ke sath nazm hua
baDe hunar se ye aurat mrs 'jamali' hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.