na koi KHwahish na koi hasrat na koi ranj-o-malal mujhko
na koi KHwahish na koi hasrat na koi ranj-o-malal mujhko
Nusrat Ateeq Gorakhpur
MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur
na koī ḳhvāhish na koī hasrat na koī ranj-o-malāl mujh ko
rulā rahā hai ka.ī dinoñ se na jaane kis kā ḳhayāl mujh ko
ye kis ne nīñdeñ churā.īñ merī ye kis ne merā sukūn chhīnā
ye kaun hai jo ki kar rahā hai zarā zarā pā.emāl mujh ko
mire tasavvur kī chāñdnī meñ tumhārā chehra chamak rahā hai
na gul kā charchā kare koī ab na chāñd kī de misāl mujh ko
mirā tujhe gar ḳhayāl hai kuchh mire dukhoñ kā malāl hai kuchh
bikhar na jā.ūñ maiñ TuuT kar ke ḳhudārā aa ke sañbhāl mujh ko
ubhar rahī huuñ ġhamoñ se 'nusrat' milī hai aisī mujhe masarrat
koī batā de ye hāsidoñ se abhī nahīñ hai zavāl mujh ko
na koi KHwahish na koi hasrat na koi ranj-o-malal mujh ko
rula raha hai kai dinon se na jaane kis ka KHayal mujh ko
ye kis ne ninden churain meri ye kis ne mera sukun chhina
ye kaun hai jo ki kar raha hai zara zara paemal mujh ko
mere tasawwur ki chandni mein tumhaara chehra chamak raha hai
na gul ka charcha kare koi ab na chand ki de misal mujh ko
mera tujhe gar KHayal hai kuchh mere dukhon ka malal hai kuchh
bikhar na jaun main TuT kar ke KHudara aa ke sanbhaal mujh ko
ubhar rahi hun ghamon se 'nusrat' mili hai aisi mujhe masarrat
koi bata de ye hasidon se abhi nahin hai zawal mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.