na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha
na koī monis-o-hamdam na koī yāvar thā
rafīq-e-ġham jo mirā thā to qalb-e-muztar thā
kisī ke husn-e-fusūñ-gar meñ ye bhī jauhar thā
ki ab vo mom huā hai kabhī jo patthar thā
tumhāre ishq ne fikr-o-nazar ko vus.at dī
rah-e-hayāt meñ chalnā to varna dūbhar thā
abas ḳhulūs-o-muravvat ko tum ne chhoḌ diyā
urūs-e-zīst kā logo yahī to zevar thā
ye taaj tāj-mahal ishq kī badaulat hai
vagarna ye to faqat qasr-e-sang-e-marmar thā
tumhārā naam hī merā rafīq-e-jāñ Thahrā
tumhārā ġham hī mirī zindagī kā mehvar thā
isī sabab to maiñ kal shab huā thā nam-dīda
mirī nazar meñ tirī ruḳhsatī kā manzar thā
nigāh-e-ahl-e-ḳhirad meñ na jis kī qīmat thī
nigāh-e-ahl-e-junūñ meñ vo sab se behtar thā
mujhe bhī manzil-e-maqsūd mil ga.ī 'sājid'
har ik qadam pe mirā azm merā rahbar thā
na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha
rafiq-e-gham jo mera tha to qalb-e-muztar tha
kisi ke husn-e-fusun-gar mein ye bhi jauhar tha
ki ab wo mom hua hai kabhi jo patthar tha
tumhaare ishq ne fikr-o-nazar ko wusat di
rah-e-hayat mein chalna to warna dubhar tha
abas KHulus-o-murawwat ko tum ne chhoD diya
urus-e-zist ka logo yahi to zewar tha
ye taj taj-mahal ishq ki badaulat hai
wagarna ye to faqat qasr-e-sang-e-marmar tha
tumhaara nam hi mera rafiq-e-jaan Thahra
tumhaara gham hi meri zindagi ka mehwar tha
isi sabab to main kal shab hua tha nam-dida
meri nazar mein teri ruKHsati ka manzar tha
nigah-e-ahl-e-KHirad mein na jis ki qimat thi
nigah-e-ahl-e-junun mein wo sab se behtar tha
mujhe bhi manzil-e-maqsud mil gai 'sajid'
har ek qadam pe mera azm mera rahbar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.