na koi monis-o-hamdam na yar-e-tanhai
na koī monis-o-hamdam na yār-e-tanhā.ī
uThā rahā huuñ akelā maiñ bār-e-tanhā.ī
jahān-e-ishq meñ bikhrā huā paḌā huuñ maiñ
zarā sañbhāl ke guzar ai ġhubār-e-tanhā.ī
mujhe na chheḌ kisī bhiiḌ kī havas huuñ maiñ
mire qarīb na aa ai nigār-e-tanhā.ī
na qaid kar mujhe ai merī zindagī is meñ
banā na yuuñ mire ghar ko mazār-e-tanhā.ī
jise bhī dekhiye mahfil sajā.e baiThā hai
huā huuñ maiñ hī akelā shikār-e-tanhā.ī
maiñ bhaag kar bhī kahāñ jā.ūñ zindagānī se
hai mere chāroñ taraf ḳhār-zār-e-tanhā.ī
makāñ hai shahr meñ kyā jaane kaun kab aa jaa.e
mujhe zarā bhī nahīñ e.atibār-e-tanhā.ī
kahāñ vo mahfileñ vo bhīḌ-bhāḌ yāroñ kī
ki ab to maiñ huuñ 'ḳhalish' aur ġhār-e-tanhā.ī
na koi monis-o-hamdam na yar-e-tanhai
uTha raha hun akela main bar-e-tanhai
jahan-e-ishq mein bikhra hua paDa hun main
zara sanbhaal ke guzar ai ghubar-e-tanhai
mujhe na chheD kisi bhiD ki hawas hun main
mere qarib na aa ai nigar-e-tanhai
na qaid kar mujhe ai meri zindagi is mein
bana na yun mere ghar ko mazar-e-tanhai
jise bhi dekhiye mahfil sajae baiTha hai
hua hun main hi akela shikar-e-tanhai
main bhag kar bhi kahan jaun zindagani se
hai mere chaaron taraf KHar-zar-e-tanhai
makan hai shahr mein kya jaane kaun kab aa jae
mujhe zara bhi nahin eatibar-e-tanhai
kahan wo mahfilen wo bhiD-bhaD yaron ki
ki ab to main hun 'KHalish' aur ghaar-e-tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.