na koi sham thi us din ki na sawera tha
na koī shaam thī us din kī na saverā thā
na koī aks thā us meñ na koī chehra thā
shab-e-ḳhayāl meñ kuchh tairtī sī kirneñ thī
farāz-e-fikr ke uupar charāġh merā thā
sitāre dekh ke us ko charāġh-pā the bahut
vo chāñd apnī havelī se aaj niklā thā
havā kī zad meñ the jitne bhī diip the us ke
sulag rahā thā jo dil meñ charāġh merā thā
ajiib tarah ke na.are lagā rahī thī shaam
aur ik udaas parinda shajar pe baiThā thā
tum aa.e ho to sunī chaap apne qadmoñ kī
bahut dinoñ se mujhe intizār merā thā
gulāb rang the shabnam ke paañv the us ke
vo chāñdnī kā badan kis qadar sunahrā thā
na koi sham thi us din ki na sawera tha
na koi aks tha us mein na koi chehra tha
shab-e-KHayal mein kuchh tairti si kirnen thi
faraaz-e-fikr ke upar charagh mera tha
sitare dekh ke us ko charagh-pa the bahut
wo chand apni haweli se aaj nikla tha
hawa ki zad mein the jitne bhi dip the us ke
sulag raha tha jo dil mein charagh mera tha
ajib tarah ke nare laga rahi thi sham
aur ek udas parinda shajar pe baiTha tha
tum aae ho to suni chap apne qadmon ki
bahut dinon se mujhe intizar mera tha
gulab rang the shabnam ke panw the us ke
wo chandni ka badan kis qadar sunahra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.