na kuchh aaghaz hota hai na kuchh anjam hota hai
na kuchh aaghaz hota hai na kuchh anjam hota hai
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
na kuchh āġhāz hotā hai na kuchh anjām hotā hai
tamāshā-gāh-e-ālam bas ḳhudā kā naam hotā hai
ba-nām-e-muḳhtalif daur-e-subū-o-jām hotā hai
ba-zāhir farq-e-rañgīnī-e-sub.h-o-shām hotā hai
mire saaqī kā andāz-e-karam jab aam hotā hai
to har tār-e-nafas husn-e-nazar kā raam hotā hai
har ik ummīd meñ mastūr kuchh paiġhām hotā hai
nazar se dūrī-e-maqsad kā manzil naam hotā hai
bahār-e-mai-kadā jab sāqī-e-gulfām hotā hai
to avval chashm-e-rañgīñ se tulū-e-jām hotā hai
sazā-vār-e-mohabbat kā yahī in.aam hotā hai
nazar kī aag hai dil muft meñ badnām hotā hai
bahar-sūrat agar saudā-e-ulfat ḳhaam hotā hai
natīja dil lagāne kā ġham-o-ālām hotā hai
ba-andāz-e-ḳhudāyāna ba-vasf-e-shān-e-shāhāna
ishāroñ par kisī ke munhasir har kaam hotā hai
na chheḌo yuuñ nigāhoñ meñ nigāheñ Daal kar dil ko
kisī kī be-ḳhudī kā raaz tasht-az-bām hotā hai
tabī.at 'shād' ho to hijr ke rangīn vaqfoñ meñ
tasavvur aap kī sūrat kā mai-āshām hotā hai
na kuchh aaghaz hota hai na kuchh anjam hota hai
tamasha-gah-e-alam bas KHuda ka nam hota hai
ba-nam-e-muKHtalif daur-e-subu-o-jam hota hai
ba-zahir farq-e-rangini-e-subh-o-sham hota hai
mere saqi ka andaz-e-karam jab aam hota hai
to har tar-e-nafas husn-e-nazar ka ram hota hai
har ek ummid mein mastur kuchh paigham hota hai
nazar se duri-e-maqsad ka manzil nam hota hai
bahaar-e-mai-kada jab saqi-e-gulfam hota hai
to awwal chashm-e-rangin se tulu-e-jam hota hai
saza-war-e-mohabbat ka yahi inam hota hai
nazar ki aag hai dil muft mein badnam hota hai
bahar-surat agar sauda-e-ulfat KHam hota hai
natija dil lagane ka gham-o-alam hota hai
ba-andaz-e-KHudayana ba-wasf-e-shan-e-shahana
ishaaron par kisi ke munhasir har kaam hota hai
na chheDo yun nigahon mein nigahen Dal kar dil ko
kisi ki be-KHudi ka raaz tasht-az-baam hota hai
tabiat 'shad' ho to hijr ke rangin waqfon mein
tasawwur aap ki surat ka mai-asham hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.