Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kuchh kahna na sunna barsar-e-paikar ho jaana

Sher Singh Naaz Dehlvi

na kuchh kahna na sunna barsar-e-paikar ho jaana

Sher Singh Naaz Dehlvi

MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi

    na kuchh kahnā na sunñā barsar-e-paikār ho jaanā

    qayāmat hai nigāhoñ tirī talvār ho jaanā

    kaleje kaT ga.e sab dekhne vāloñ ke sīnoñ meñ

    kise mā'lūm thā añgḌā.ī talvār ho jaanā

    tirī tirchhī nazar ne ye hunar bhī ḳhuub sīkhā hai

    khiñche to tiir ho jaanā chale talvār ho jaanā

    fareb-e-husn adnā ik ye bhī karishma hai

    nazar-andāz ho kar tiir talvār ho jaanā

    tirī nīchī nazar bhī kyā nazar hai ik qayāmat hai

    kabhī nāvak kabhī ḳhanjar kabhī talvār ho jaanā

    nirālā tarīqa hai hamāre qatl karne

    kanakhiyoñ se kisī dekhnā talvār ho jaanā

    kisī be-ruḳhī bhī 'nāz' hashr-angez hotī hai

    palaTte nigāh-e-nāz talvār ho jaanā

    na kuchh kahna na sunna barsar-e-paikar ho jaana

    qayamat hai nigahon ka teri talwar ho jaana

    kaleje kaT gae sab dekhne walon ke sinon mein

    kise ma'lum tha angDai ka talwar ho jaana

    teri tirchhi nazar ne ye hunar bhi KHub sikha hai

    khinche to tir ho jaana chale talwar ho jaana

    fareb-e-husn ka adna sa ek ye bhi karishma hai

    nazar-andaz ho kar tir ka talwar ho jaana

    teri nichi nazar bhi kya nazar hai ek qayamat hai

    kabhi nawak kabhi KHanjar kabhi talwar ho jaana

    nirala hi tariqa hai hamare qatl karne ka

    kanakhiyon se kisi ka dekhna talwar ho jaana

    kisi ki be-ruKHi bhi 'naz' hashr-angez hoti hai

    palaTte hi nigah-e-naz ka talwar ho jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now