na kuchh takrar tumko hai na kuchh shikwa hamara hai
na kuchh takrār tum ko hai na kuchh shikva hamārā hai
ye dil kyā chiiz hai ab jaan tak denā gavārā hai
dam-e-raftār uThā fitne qayāmat kā ishāra hai
tirā muñh dekhnā ḳhurshed-e-mahshar ko nazārā hai
vo mah-rū ai falak phirtā hai har shab merī āñkhoñ meñ
tasavvur ne mire ġham-ḳhāne meñ ik chāñd taarā hai
sar-e-bālīñ na paayā tujh ko ai iisā to ghabrā kar
shab-e-furqat meñ izrā.īl ko ham ne pukārā hai
falak qātil hai teġh-e-māh-e-nau ke zaḳhm haiñ tan par
shafaq hai ḳhuuñ hamārā chāñdnī ne ham ko maarā hai
bajā hai tujh se ai but ḳhalq ko da.avā mohabbat kā
ḳhudā vāhid hai par har shaḳhs kahtā hai hamārā hai
maiñ huuñ ai ham-safīr-e-bulbul-e-zār is gulistāñ kā
jo Theke meñ hai sayyādoñ ke gulchīñ kā ijārā hai
na pūchho haal kuchh dil kī lagī kā mujh jale tan kī
jahannum jis ko kahte haiñ vo is kā ik sharārā hai
siyah-kārī hī maiñ ne umr bhar kī tīra-baḳhtī se
tirā hāl-e-siyah kyā merī qismat kā sitāra hai
mujhe bhī paar utarnā hai Dubo kar kashtī-e-tan ko
kinārā gor kā gar bahr-e-ulfat kā kinārā hai
girā huuñ kyā judā.ī meñ ba-zor-e-nā-tavānī se
na tāqat aah karne kī na uf karne kā yaarā hai
nikaltā hai mirā dam majma-e-yārāñ hai bālīñ par
na muñh se baat hotī hai na āñkhoñ se ishāra hai
faroġh-e-ḳhāl rū-e-ātishīñ par ho nahīñ mumkin
kahīñ ḳhurshed ke bhī sāmne chamkā sitāra hai
banāyā dāna-e-añgūr kā kanThā hai mastī meñ
chaman meñ bahar-e-mai-ḳhvārī kiyā jab istiḳhārā hai
kisī sūrat mirī baḳhshish nahīñ ai 'arsh' hai mumkin
payambar kā vasīla abr-e-rahmat kā sahārā hai
na kuchh takrar tum ko hai na kuchh shikwa hamara hai
ye dil kya chiz hai ab jaan tak dena gawara hai
dam-e-raftar uTha fitne qayamat ka ishaara hai
tera munh dekhna KHurshed-e-mahshar ko nazara hai
wo mah-ru ai falak phirta hai har shab meri aankhon mein
tasawwur ne mere gham-KHane mein ek chand tara hai
sar-e-baalin na paya tujh ko ai isa to ghabra kar
shab-e-furqat mein izrail ko hum ne pukara hai
falak qatil hai tegh-e-mah-e-nau ke zaKHm hain tan par
shafaq hai KHun hamara chandni ne hum ko mara hai
baja hai tujh se ai but KHalq ko dawa mohabbat ka
KHuda wahid hai par har shaKHs kahta hai hamara hai
main hun ai ham-safir-e-bulbul-e-zar is gulistan ka
jo Theke mein hai sayyaadon ke gulchin ka ijara hai
na puchho haal kuchh dil ki lagi ka mujh jale tan ki
jahannum jis ko kahte hain wo is ka ek sharara hai
siyah-kari hi main ne umr bhar ki tira-baKHti se
tera haal-e-siyah kya meri qismat ka sitara hai
mujhe bhi par utarna hai Dubo kar kashti-e-tan ko
kinara gor ka gar bahr-e-ulfat ka kinara hai
gira hun kya judai mein ba-zor-e-na-tawani se
na taqat aah karne ki na uf karne ka yara hai
nikalta hai mera dam majma-e-yaran hai baalin par
na munh se baat hoti hai na aankhon se ishaara hai
farogh-e-KHal ru-e-atishin par ho nahin mumkin
kahin KHurshed ke bhi samne chamka sitara hai
banaya dana-e-angur ka kanTha hai masti mein
chaman mein bahar-e-mai-KHwari kiya jab istiKHara hai
kisi surat meri baKHshish nahin ai 'arsh' hai mumkin
payambar ka wasila abr-e-rahmat ka sahaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.