na main hi tanha tha na meri rahguzar tanha
na maiñ hī tanhā thā na merī rahguzar tanhā
sharīk-e-rāh rahe tum magar safar tanhā
hisār-e-rañg se bāhar sabhī nikal aa.e
ulajh ke rah ga.ī ik merī hī nazar tanhā
bahut qarīb hai ki tum se guftugū bhī ho
dayār-e-fikr meñ aate rahe agar tanhā
hurūf hī kī tarah TūTte bikharte rahe
kitāb paḌhte rahe ham jo raat bhar tanhā
ajiib tarz-e-rihā.ish hai ai 'asad' us kī
bahut dinoñ se mire saath hai magar tanhā
na main hi tanha tha na meri rahguzar tanha
sharik-e-rah rahe tum magar safar tanha
hisar-e-rang se bahar sabhi nikal aae
ulajh ke rah gai ek meri hi nazar tanha
bahut qarib hai ki tum se guftugu bhi ho
dayar-e-fikr mein aate rahe agar tanha
huruf hi ki tarah TuTte bikharte rahe
kitab paDhte rahe hum jo raat bhar tanha
ajib tarz-e-rihaish hai ai 'asad' us ki
bahut dinon se mere sath hai magar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.