na maine maut ko samjha na zindagani ko
na maiñ ne maut ko samjhā na zindagānī ko
kis aa.ine meñ utārūñ tirī javānī ko
baḌī shadīd tamanna hai zindagānī kī
kabhī qarīb se dekhā hai zindagānī ko
bahut dinoñ se koī hādisa nahīñ guzrā
taras rahā hai qalam der se ravānī ko
jigar ke daaġh kisī ghaaT par nahīñ dho.e
bahut sañbhāl ke rakkhā tirī nishānī ko
falak ke zulm zamāne ke hādse 'ishrat'
nikal paḌe haiñ mire ghar kī pāsbānī ko
na main ne maut ko samjha na zindagani ko
kis aaine mein utarun teri jawani ko
baDi shadid tamanna hai zindagani ki
kabhi qarib se dekha hai zindagani ko
bahut dinon se koi hadisa nahin guzra
taras raha hai qalam der se rawani ko
jigar ke dagh kisi ghaT par nahin dhoe
bahut sanbhaal ke rakkha teri nishani ko
falak ke zulm zamane ke hadse 'ishrat'
nikal paDe hain mere ghar ki pasbani ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.