na maut hijr mein aai na mujhko KHwab aaya
na maut hijr mein aai na mujhko KHwab aaya
Mirza Rahimuddin Haya
MORE BYMirza Rahimuddin Haya
na maut hijr meñ aa.ī na mujh ko ḳhvāb aaya
ye kis azaab meñ maiñ huuñ ye kyā azaab aaya
pas-az-fanā mire lāshe ko pā.emāl kiyā
ye dil meñ kyā tire ai ḳhānumāñ-ḳharāb aaya
tavāf-e-ka.aba kā ham ko savāb ḳhaak huā
qadam qadam pe ḳhayāl-e-ḳhum-e-sharāb aaya
hazār da.ave haiñ dar-parda zulm karne par
ġhazab huā jo vo mahshar meñ be-naqāb aaya
ḳhatā adū kī jafā mujh pe munsifī yahī hai
ye kyā ḳhayāl tujhe shoḳh pur-itāb aaya
ilāhī aaj huā kyā vagarna thā ye thā
udhar gayā mirā ḳhat aur idhar javāb aaya
huā hai siine meñ shāyad jigar do paara 'hayā'
bajā.e ashk jo āñkhoñ se ḳhūn-e-nāb aaya
na maut hijr mein aai na mujh ko KHwab aaya
ye kis azab mein main hun ye kya azab aaya
pas-az-fana mere lashe ko paemal kiya
ye dil mein kya tere ai KHanuman-KHarab aaya
tawaf-e-kaba ka hum ko sawab KHak hua
qadam qadam pe KHayal-e-KHum-e-sharab aaya
hazar dawe hain dar-parda zulm karne par
ghazab hua jo wo mahshar mein be-naqab aaya
KHata adu ki jafa mujh pe munsifi yahi hai
ye kya KHayal tujhe shoKH pur-itab aaya
ilahi aaj hua kya wagarna tha ye tha
udhar gaya mera KHat aur idhar jawab aaya
hua hai sine mein shayad jigar do para 'haya'
bajae ashk jo aankhon se KHun-e-nab aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.