na mehnat ki ho gar maine mujhe tabinda mat karna
na mehnat kī ho gar maiñ ne mujhe tābinda mat karnā
magar nākām hone par mujhe sharminda mat karnā
mujhe dekhoge to tum ko ye thappaḌ yaad aa.egā
jo harakat tum ne kī hai aaj vo ā.inda mat karnā
nahīñ hai husn meñ ehsās tum bhī is se ho jaao
aur apne narm ehsāsāt ko raqsinda mat karnā
fanā se ishq hai mujh ko baqā se saḳht nafrat hai
kahīñ hastī mirī mere ḳhudā pā.inda mat karnā
tamanna phir se jiine kī nahīñ dil meñ mire allāh
mujhe marne pe kar de ḳhatm aur phir zinda mat karnā
na mehnat ki ho gar main ne mujhe tabinda mat karna
magar nakaam hone par mujhe sharminda mat karna
mujhe dekhoge to tum ko ye thappaD yaad aaega
jo harakat tum ne ki hai aaj wo aainda mat karna
nahin hai husn mein ehsas tum bhi is se ho jao
aur apne narm ehsasat ko raqsinda mat karna
fana se ishq hai mujh ko baqa se saKHt nafrat hai
kahin hasti meri mere KHuda painda mat karna
tamanna phir se jine ki nahin dil mein mere allah
mujhe marne pe kar de KHatm aur phir zinda mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.