na mehr-o-mah na anjum ke darmiyan mein hai
na mehr-o-māh na anjum ke darmiyān meñ hai
javāb terā zamīñ par na āsmān meñ hai
lagā rahe haiñ mazāmīn-e-nau ke ham ambār
hamārī fikr kā taa.ir abhī uḌaan meñ hai
vafā ḳhulūs-o-mohabbat sharāfat-o-tahzīb
asāsa ab yahī baaqī mire makān meñ hai
tirā nishāna koī bhī ḳhatā nahīñ hotā
tilism kaun sā āḳhir tirī kamān meñ hai
ye aur baat ki īmāñ se dil hue ḳhālī
magar asar vahī sajde meñ aur azaan meñ hai
muḳhālifīn taraf-dār ho ga.e tere
na jaane kaun sā jaadū tirī zabān meñ hai
purāne vaqtoñ kī bāteñ na kījiye ham se
kahāñ vo jazba-e-īsār ḳhāndān meñ hai
lab-e-ḳhamosh se kahtā hai 'ilm kā hai panja
ḳhudā kī fauj kī 'azmat isī nishān meñ hai
vahāñ pe koshisheñ mirrīḳh par pahuñchne kī
yahāñ bashar abhī masrūf fikr-e-nān meñ hai
sunā hai qissa-e-ġham jis ne royā hai paiham
'ajīb dard 'kashish' terī dāstān meñ hai
na mehr-o-mah na anjum ke darmiyan mein hai
jawab tera zamin par na aasman mein hai
laga rahe hain mazamin-e-nau ke hum ambar
hamari fikr ka tair abhi uDan mein hai
wafa KHulus-o-mohabbat sharafat-o-tahzib
asasa ab yahi baqi mere makan mein hai
tera nishana koi bhi KHata nahin hota
tilism kaun sa aaKHir teri kaman mein hai
ye aur baat ki iman se dil hue KHali
magar asar wahi sajde mein aur azan mein hai
muKHalifin taraf-dar ho gae tere
na jaane kaun sa jadu teri zaban mein hai
purane waqton ki baaten na kijiye hum se
kahan wo jazba-e-isar KHandan mein hai
lab-e-KHamosh se kahta hai 'ilm ka hai panja
KHuda ki fauj ki 'azmat isi nishan mein hai
wahan pe koshishen mirriKH par pahunchne ki
yahan bashar abhi masruf fikr-e-nan mein hai
suna hai qissa-e-gham jis ne roya hai paiham
'ajib dard 'kashish' teri dastan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.