na mera etibar un ko na mujhko etibar apna
na merā e'tibār un ko na mujh ko e'tibār apnā
na hotā kaash apne vāste dil be-qarār apnā
na koī rāz-dāñ apnā na koī mehrbāñ apnā
na koī ham-zabān apnā na koī ġham-gusār apnā
na koī gulsitāñ apnā na koī āshiyāñ apnā
na koī dar na koī ghar na koī hai dayār apnā
qafas kī āfatoñ kā Dar na ḳhushiyāñ āshiyāne kī
bahār apnī na gul apnā kalī apnī na ḳhaar apnā
asar apnā na ġham apnā na sang apnā na sar apnā
na dard apnā na dil apnā na maiñ apnā na yaar apnā
na shām-e-ġham kī tārīkī na tanhā.ī kī māyūsī
na chashm-e-ashk-e-bār apnī na vaqt-e-intizār apnā
hameñ ik baar mar kar phir agar jiinā nahīñ paḌtā
to aisī ziist kā phir ġham bhī hotā musta'ār apnā
satātī hai mujhe din-rāt apnī bebasī 'sālik'
taḳhayyul baarī baarī se tasavvur baar baar apnā
na mera e'tibar un ko na mujh ko e'tibar apna
na hota kash apne waste dil be-qarar apna
na koi raaz-dan apna na koi mehrban apna
na koi ham-zaban apna na koi gham-gusar apna
na koi gulsitan apna na koi aashiyan apna
na koi dar na koi ghar na koi hai dayar apna
qafas ki aafaton ka Dar na KHushiyan aashiyane ki
bahaar apni na gul apna kali apni na KHar apna
asar apna na gham apna na sang apna na sar apna
na dard apna na dil apna na main apna na yar apna
na sham-e-gham ki tariki na tanhai ki mayusi
na chashm-e-ashk-e-bar apni na waqt-e-intizar apna
hamein ek bar mar kar phir agar jina nahin paDta
to aisi zist ka phir gham bhi hota musta'ar apna
satati hai mujhe din-raat apni bebasi 'salik'
taKHayyul bari bari se tasawwur bar bar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.