na miTa hijr ka aazar to phir kya hoga
na miTā hijr kā āzār to phir kyā hogā
terā milnā huā dushvār to phir kyā hogā
ab to hai bād-e-muāfiq pe bharosa tujh ko
raah meñ aa gayā mañjdhār to phir kyā hogā
maiñ bhulā saktā nahīñ terī mohabbat lekin
tū mirā bhuul gayā pyaar to phir kyā hogā
dil tasavvur hī se dīvāna huā jaatā hai
jab huā aap kā dīdār to phir kyā hogā
pahle to aas dilāse diyā kartī thī use
ab agar royā dil-e-zār to phir kyā hogā
'soz' tārīkī-e-zindāñ se nikal to aa.e
na milā sāya-e-dīvār to phir kyā hogā
na miTa hijr ka aazar to phir kya hoga
tera milna hua dushwar to phir kya hoga
ab to hai baad-e-muafiq pe bharosa tujh ko
rah mein aa gaya manjdhaar to phir kya hoga
main bhula sakta nahin teri mohabbat lekin
tu mera bhul gaya pyar to phir kya hoga
dil tasawwur hi se diwana hua jata hai
jab hua aap ka didar to phir kya hoga
pahle to aas dilase diya karti thi use
ab agar roya dil-e-zar to phir kya hoga
'soz' tariki-e-zindan se nikal to aae
na mila saya-e-diwar to phir kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.