na mohtasib se ye mujhko gharaz na mast se kaam
na mohtasib se ye mujhko gharaz na mast se kaam
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
na mohtasib se ye mujh ko ġharaz na mast se kaam
mujhe to lenā hai saaqī ke aaj dast se kaam
sanam tū merī parastish kī qadr tab jaane
ki jab paḌe tujhe kāfir ḳhudā-parast se kaam
maiñ gosha-gīr huā sair kar nasheb o farāz
rahā na mere qadam ko buland o past se kaam
rakhe hai shīsha mirā sañg saath rabt-e-qadīm
ki aaTh pahr mire dil ko hai shikast se kaam
jise masāvī hai maazī o haal o mustaqbil
use rahā nahīñ ā.inda būd-o-hast se kaam
maiñ kufr o diiñ se guzar kar huā huuñ lā-maz.hab
ḳhudā-parast se matlab na but-parast se kaam
kisū ko qaid kare hai kisū ko bāñdhe hai
vo le hai apne amal biich band-o-bast se kaam
dil us kī zulf ke pechoñ meñ 'hātim' uljhā hai
rakhe nahīñ hai mirā said daam o shust se kaam
na mohtasib se ye mujh ko gharaz na mast se kaam
mujhe to lena hai saqi ke aaj dast se kaam
sanam tu meri parastish ki qadr tab jaane
ki jab paDe tujhe kafir KHuda-parast se kaam
main gosha-gir hua sair kar nasheb o faraaz
raha na mere qadam ko buland o past se kaam
rakhe hai shisha mera sang sath rabt-e-qadim
ki aaTh pahr mere dil ko hai shikast se kaam
jise masawi hai mazi o haal o mustaqbil
use raha nahin aainda bud-o-hast se kaam
main kufr o din se guzar kar hua hun la-mazhab
KHuda-parast se matlab na but-parast se kaam
kisu ko qaid kare hai kisu ko bandhe hai
wo le hai apne amal bich band-o-bast se kaam
dil us ki zulf ke pechon mein 'hatim' uljha hai
rakhe nahin hai mera said dam o shust se kaam
- Book : Diwan Zadah (Pg. 219)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.