na mujhko chain aawe hai na mujhko nind hi aawe
na mujh ko chain aave hai na mujh ko niiñd hī aave
sajan kī de ḳhabar koī koī to us taraf jaave
tire hañsne pe dil apnā tirī jānib khichā jaave
tire rone pe dil taḌpe 'ajab sī tishnagī chhāve
batā.ūñ kyā maiñ logoñ ko tire dekhe se kyā hove
jo tujh ko dekh le sāhib vo jannat kā maza paave
jalan rahtī hai siine meñ use kah do sadā de de
koī to yaar ke kūche se thoḌī dilbarī laave
ye dil kaahe ko terī yaad meñ jal jal ke dhaḌke hai
ye kaahe naam le terā ye kyūñkar rog hai khāve
sajan kī bholī bātāñ se gumāñ hove hai koyal kā
sajan kī bhūrī akhiyāñ meñ papīhā giit hai gaave
milan kī baat karne par hayā mukhḌe ko khā jaa.e
simaTtī jaa.e lājāñ se dilāñ par barq hai Dhāve
tirī sochāñ kī bhañvrāñ meñ koī rasta nahīñ miltā
safar ye bojh laage hai mohabbat ḳhuun hai taave
tū sangat hai bahāroñ kī dilāñ ke chāñd tāroñ kī
tū raanī hai mire dil kī na dil ko ab koī bhāve
na mujh ko chain aawe hai na mujh ko nind hi aawe
sajan ki de KHabar koi koi to us taraf jawe
tere hansne pe dil apna teri jaanib khicha jawe
tere rone pe dil taDpe 'ajab si tishnagi chhawe
bataun kya main logon ko tere dekhe se kya howe
jo tujh ko dekh le sahib wo jannat ka maza pawe
jalan rahti hai sine mein use kah do sada de de
koi to yar ke kuche se thoDi dilbari lawe
ye dil kahe ko teri yaad mein jal jal ke dhaDke hai
ye kahe nam le tera ye kyunkar rog hai khawe
sajan ki bholi baatan se guman howe hai koyal ka
sajan ki bhuri akhiyan mein papiha git hai gawe
milan ki baat karne par haya mukhDe ko kha jae
simaTti jae lajaan se dilan par barq hai Dhawe
teri sochan ki bhanwran mein koi rasta nahin milta
safar ye bojh lage hai mohabbat KHun hai tawe
tu sangat hai bahaaron ki dilan ke chand taron ki
tu rani hai mere dil ki na dil ko ab koi bhawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.