na mujhe idhar ki talash hai na mujhe udhar ki talash hai
na mujhe idhar ki talash hai na mujhe udhar ki talash hai
Aiman Amritsari
MORE BYAiman Amritsari
na mujhe idhar kī talāsh hai na mujhe udhar kī talāsh hai
ye talāsh sab dil-e-be-ḳhabar dil-e-be-ḳhabar kī talāsh hai
hai azal se dil meñ muqīm tū tirī bhuul hai tirī justujū
koī justujū hai ye justujū tujhe apne ghar kī talāsh hai
rahī darmiyāñ jo duī to kyā jo nazar na ek huī to kyā
na ho imtiyāz nigāh meñ mujhe us nazar kī talāsh hai
dar-e-dair hai jo kisī kā dar dar-e-ka.aba hai jo kisī kā sar
jo baham ho donoñ kā āstāñ mujhe aise dar kī talāsh hai
ye hai ḳhud hijāb tirī ḳhudī tirā vahm hai tirī gumrahī
tū ḳhud aap apnā hai rahnumā tujhe rāhbar kī talāsh hai
tū hai shaiḳh tālib-e-zāhidī mirī dastgīr hai be-parī
mirī be-parī mire bāl-o-par tujhe bāl-o-par kī talāsh hai
jo guloñ ke husn meñ hai ayaañ dil-e-andalīb meñ hai nihāñ
jo hai kār-gāh-e-jahāñ kī jaañ mujhe us sharar kī talāsh hai
jo ḳhizāñ meñ ḳhufta haiñ shorisheñ vahīñ hashr-o-nashr-e-bahār haiñ
ye vo rāz-e-fitrat-e-ġhaib hai jise dīda-var kī talāsh hai
yahī ek raaz hai hastī-e-gul-e-nau-damīda kā ai sahar
ki payām-e-ġhuncha ko gul-kade meñ payāmbar kī talāsh hai
tujhe ham-nashīñ hai us āb-o-gil ke tilism meñ ġham-e-barhamī
mujhe us ke naqsh-o-nigār meñ kisī kūza-gar kī talāsh hai
rahe us kī rahmat-e-ām par hī nigāh-e-'aiman'-e-munfa.il
yahī ek dāman-e-ḳhās hai jise ashk-e-tar kī talāsh hai
na mujhe idhar ki talash hai na mujhe udhar ki talash hai
ye talash sab dil-e-be-KHabar dil-e-be-KHabar ki talash hai
hai azal se dil mein muqim tu teri bhul hai teri justuju
koi justuju hai ye justuju tujhe apne ghar ki talash hai
rahi darmiyan jo dui to kya jo nazar na ek hui to kya
na ho imtiyaz nigah mein mujhe us nazar ki talash hai
dar-e-dair hai jo kisi ka dar dar-e-kaba hai jo kisi ka sar
jo baham ho donon ka aastan mujhe aise dar ki talash hai
ye hai KHud hijab teri KHudi tera wahm hai teri gumrahi
tu KHud aap apna hai rahnuma tujhe rahbar ki talash hai
tu hai shaiKH talib-e-zahidi meri dastgir hai be-pari
meri be-pari mere baal-o-par tujhe baal-o-par ki talash hai
jo gulon ke husn mein hai ayan dil-e-andalib mein hai nihan
jo hai kar-gah-e-jahan ki jaan mujhe us sharar ki talash hai
jo KHizan mein KHufta hain shorishen wahin hashr-o-nashr-e-bahaar hain
ye wo raaz-e-fitrat-e-ghaib hai jise dida-war ki talash hai
yahi ek raaz hai hasti-e-gul-e-nau-damida ka ai sahar
ki payam-e-ghuncha ko gul-kade mein payambar ki talash hai
tujhe ham-nashin hai us aab-o-gil ke tilism mein gham-e-barhami
mujhe us ke naqsh-o-nigar mein kisi kuza-gar ki talash hai
rahe us ki rahmat-e-am par hi nigah-e-'aiman'-e-munfail
yahi ek daman-e-KHas hai jise ashk-e-tar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.