na mujhe rok saka aap ka darban koi
na mujhe rok sakā aap kā darbāñ koī
khīñchtā thā koī dāman to garebāñ koī
sunñe vaalā nahīñ jab hāl-e-pareshāñ koī
to kahe kis liye apnā ġham-e-pinhāñ koī
husn par apne sar-e-bazm hai nāzāñ koī
sūrat-e-ā.ina hai dekh ke hairāñ koī
ātish-e-husn kā ruḳh par ye dhuāñ hai jis ko
ḳhat samajhtā hai koī zulf-e-pareshāñ koī
shaam se ye jo sañvarte haiñ tumhāre gesū
jam.a-ḳhātir koī hogā to pareshāñ koī
dekh kar ālam-e-vahshat meñ mirī hairānī
koī ḳhandāñ hai to angusht-ba-dandāñ koī
sū-e-dar aaj ye kyoñ aañkh lagī hai 'sābir'
muntazir kis ke ho kyā aa.egā mehmāñ koī
na mujhe rok saka aap ka darban koi
khinchta tha koi daman to gareban koi
sunne wala nahin jab haal-e-pareshan koi
to kahe kis liye apna gham-e-pinhan koi
husn par apne sar-e-bazm hai nazan koi
surat-e-aina hai dekh ke hairan koi
aatish-e-husn ka ruKH par ye dhuan hai jis ko
KHat samajhta hai koi zulf-e-pareshan koi
sham se ye jo sanwarte hain tumhaare gesu
jama-KHatir koi hoga to pareshan koi
dekh kar aalam-e-wahshat mein meri hairani
koi KHandan hai to angusht-ba-dandan koi
su-e-dar aaj ye kyon aankh lagi hai 'sabir'
muntazir kis ke ho kya aaega mehman koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.