na musht-e-gul na kaf-e-nastaran mein Thahre hain
na musht-e-gul na kaf-e-nastaran meñ Thahre haiñ
chaman ke rang bhalā kab chaman meñ Thahre haiñ
musāfirān-e-rah-e-be-nishāñ haiñ ham ai dost
jo lamha bhar ko tirī anjuman meñ Thahre haiñ
tirā ḳhayāl bhī dil se nikal hī jā.egā
kab āhuān-e-ramīda ḳhutan meñ Thahre haiñ
bas ek dastak-e-ġhaibī ke intizār meñ ham
tamām umr sarā-e-badan meñ Thahre haiñ
chale to jāda-e-ḳhūñ par chale haiñ ahl-e-vafā
ruke to sāya-e-dār-o-rasan meñ Thahre haiñ
mirī ġhazal mire ash.ār aur kuchh bhī nahīñ
gumāñ ke aks sarāb-e-suḳhan meñ Thahre haiñ
piro luuñ tār-e-nazar meñ ki os ke motī
na musht-e-gul na kaf-e-nastaran meñ Thahre haiñ
na musht-e-gul na kaf-e-nastaran mein Thahre hain
chaman ke rang bhala kab chaman mein Thahre hain
musafiran-e-rah-e-be-nishan hain hum ai dost
jo lamha bhar ko teri anjuman mein Thahre hain
tera KHayal bhi dil se nikal hi jaega
kab aahuan-e-ramida KHutan mein Thahre hain
bas ek dastak-e-ghaibi ke intizar mein hum
tamam umr sara-e-badan mein Thahre hain
chale to jada-e-KHun par chale hain ahl-e-wafa
ruke to saya-e-dar-o-rasan mein Thahre hain
meri ghazal mere ashaar aur kuchh bhi nahin
guman ke aks sarab-e-suKHan mein Thahre hain
piro lun tar-e-nazar mein ki os ke moti
na musht-e-gul na kaf-e-nastaran mein Thahre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.