na palken jhukao na nazren churao
na palkeñ jhukāo na nazreñ churāo
nigāhoñ se merī nigāheñ milāo
ishāroñ ishāroñ meñ kyā kah rahe ho
laboñ ko do jumbish zabāñ to hilāo
sitam kar rahī haiñ ye un kī adā.eñ
mire rab hasīnoñ se ham ko bachāo
ġham-e-zindagī zindagī bhar rahegā
ise bhuul kar tum zarā muskurāo
jo pahle huā thā vahī ho rahā hai
siyāsat ki ḳhātir hameñ na laḌāo
ye ahl-e-jahāñ se bayāñ kar do 'ahzam'
bikhero mohabbat ye nafrat miTāo
na palken jhukao na nazren churao
nigahon se meri nigahen milao
ishaaron ishaaron mein kya kah rahe ho
labon ko do jumbish zaban to hilao
sitam kar rahi hain ye un ki adaen
mere rab hasinon se hum ko bachao
gham-e-zindagi zindagi bhar rahega
ise bhul kar tum zara muskurao
jo pahle hua tha wahi ho raha hai
siyasat ki KHatir hamein na laDao
ye ahl-e-jahan se bayan kar do 'ahzam'
bikhero mohabbat ye nafrat miTao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.