na pesh-e-zulm kisi taur KHam kiya jae
na pesh-e-zulm kisī taur ḳham kiyā jaa.e
hazār baar bhī gar sar qalam kiyā jaa.e
bahut se log to har vaqt is firāq meñ haiñ
kisī tarah mirī himmat ko kam kiyā jaa.e
vo sochtā hai faqat maiñ hī maiñ rahūñ har-sū
maiñ chāhtā huuñ ki is maiñ ko ham kiyā jaa.e
vo jin kī koī fazīlat kahīñ nahīñ miltī
vo kah rahe haiñ hameñ mohtaram kiyā jaa.e
sukūn-e-qalb inhīñ ḳhvāhishoñ ne chhīnā hai
ab in se kah do ki mujh par karam kiyā jaa.e
maiñ zaḳhm khā ke musalsal isī talāsh meñ huuñ
kisī bahāne ab āñkhoñ ko nam kiyā jaa.e
jo ho na paa.e vazīfa bhī kārgar koī
to ḳhud pe 'mīr' ke sheroñ ko dam kiyā jaa.e
na pesh-e-zulm kisi taur KHam kiya jae
hazar bar bhi gar sar qalam kiya jae
bahut se log to har waqt is firaq mein hain
kisi tarah meri himmat ko kam kiya jae
wo sochta hai faqat main hi main rahun har-su
main chahta hun ki is main ko hum kiya jae
wo jin ki koi fazilat kahin nahin milti
wo kah rahe hain hamein mohtaram kiya jae
sukun-e-qalb inhin KHwahishon ne chhina hai
ab in se kah do ki mujh par karam kiya jae
main zaKHm kha ke musalsal isi talash mein hun
kisi bahane ab aankhon ko nam kiya jae
jo ho na pae wazifa bhi kargar koi
to KHud pe 'mir' ke sheron ko dam kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.