na phir rakkhenge teri rah mein pa hum
na phir rakkheñge terī rah meñ pā ham
ga.e-guzre haiñ āḳhir aise kyā ham
ḳhiñchegī kab vo teġh-e-nāz yārab
rahe haiñ der se sar ko jhukā ham
na jaanā ye ki kahte haiñ kise pyaar
raheñ be-lutfiyāñ hī yaañ to bāham
bane kyā ḳhāl-o-zulf-o-ḳhat se dekheñ
hue haiñ kitne ye kāfir farāham
maraz hī ishq kā be-Dol hai kuchh
bahut karte haiñ apnī sī davā ham
kahīñ paivand huuñ yārab zamīñ ke
phireñge us se yuuñ kab tak judā ham
havas thī ishq karne meñ va-lekin
bahut nādim hue dil ko lagā ham
kab aage koī martā thā kisī par
jahāñ meñ kar ga.e rasm-e-vafā ham
ta.āruf kyā rahā ahl-e-chaman se
hue ik umr ke pīchhe rihā ham
muā jis ke liye us ko na dekhā
na samjhe 'mīr' kā kuchh mudda.ā ham
na phir rakkhenge teri rah mein pa hum
gae-guzre hain aaKHir aise kya hum
KHinchegi kab wo tegh-e-naz yarab
rahe hain der se sar ko jhuka hum
na jaana ye ki kahte hain kise pyar
rahen be-lutfiyan hi yan to baham
bane kya KHal-o-zulf-o-KHat se dekhen
hue hain kitne ye kafir faraham
maraz hi ishq ka be-Dol hai kuchh
bahut karte hain apni si dawa hum
kahin paiwand hun yarab zamin ke
phirenge us se yun kab tak juda hum
hawas thi ishq karne mein wa-lekin
bahut nadim hue dil ko laga hum
kab aage koi marta tha kisi par
jahan mein kar gae rasm-e-wafa hum
taaruf kya raha ahl-e-chaman se
hue ek umr ke pichhe riha hum
mua jis ke liye us ko na dekha
na samjhe 'mir' ka kuchh muddaa hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0280
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.