na pinhan raaz-e-gham ab hai na tha ai mehrban pahle
na pinhāñ rāz-e-ġham ab hai na thā ai mehrbāñ pahle
kisī par ab ayaañ hogā kisī par thā ayaañ pahle
asar hone ko to un par bhī hogā josh-e-vahshat kā
uḌeñgī mere hī dāman kī lekin dhajjiyāñ pahle
kashish dair-o-haram kī to asar-andāz hai yaksāñ
magar ye kah nahīñ saktā ki jā.ūñgā kahāñ pahle
chalā hai daur to baarī pe sāġhar mil hī jā.egā
bahut bejā hai ye kahnā yahāñ pahle vahāñ pahle
mujhe jab bhī koī Thokar lagī hai rāh-e-ulfat meñ
hamesha yaad aayā hai zamīñ se āsmāñ pahle
mirī ḳhāmoshī-e-paiham fasāna ban ga.ī varna
samajhtā hī na thā koī mohabbat kī zabāñ pahle
tumhāre naam se tāsīr is meñ ho ga.ī paidā
kabhī suntā na thā koī hamārī dāstāñ pahle
chaman ko chhoḌ kar jaanā zarā āsān ho jaatā
jalā detā agar sayyād merā āshiyāñ pahle
karam is ko samajhtā huuñ janāb-e-josh kā 'sāhir'
ġhazal meñ varna kab hotā thā ye husn-e-bayāñ pahle
na pinhan raaz-e-gham ab hai na tha ai mehrban pahle
kisi par ab ayan hoga kisi par tha ayan pahle
asar hone ko to un par bhi hoga josh-e-wahshat ka
uDengi mere hi daman ki lekin dhajjiyan pahle
kashish dair-o-haram ki to asar-andaz hai yaksan
magar ye kah nahin sakta ki jaunga kahan pahle
chala hai daur to bari pe saghar mil hi jaega
bahut beja hai ye kahna yahan pahle wahan pahle
mujhe jab bhi koi Thokar lagi hai rah-e-ulfat mein
hamesha yaad aaya hai zamin se aasman pahle
meri KHamoshi-e-paiham fasana ban gai warna
samajhta hi na tha koi mohabbat ki zaban pahle
tumhaare nam se tasir is mein ho gai paida
kabhi sunta na tha koi hamari dastan pahle
chaman ko chhoD kar jaana zara aasan ho jata
jala deta agar sayyaad mera aashiyan pahle
karam is ko samajhta hun janab-e-josh ka 'sahir'
ghazal mein warna kab hota tha ye husn-e-bayan pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.