na puchh ai ham-nashin hum kis liye lachaar baiThe hain
na puchh ai ham-nashin hum kis liye lachaar baiThe hain
Manzoor Hasan Nami
MORE BYManzoor Hasan Nami
na pūchh ai ham-nashīñ ham kis liye lāchār baiThe haiñ
matā.a-e-jān-o-īmāñ kho chuke haiñ haar baiThe haiñ
kisī ke ġham meñ jān-e-zār se bezār baiThe haiñ
uThā hai dard sā pahlū meñ ham lāchār baiThe haiñ
ḳhabar bhī hai tumheñ uftādgān-e-kū-e-ulfat kī
hazāroñ chāhne vaale pas-e-dīvār baiThe haiñ
masīhā saf.h-e-hastī pe junūñ ko daaġh samjhā hai
vo tere chāhne vaale tire bīmār baiThe haiñ
nigāh-e-mast se apnī kaho tayyār ho jaa.e
ki dīvāne tumhāre aaj phir hushiyār baiThe haiñ
sazā kyā bārgāh-e-nāz se miltī hai dekheñge
gunah-gārān-e-ulfat der se tayyār baiThe haiñ
nigāh-e-lutf-e-sāqī dekhiye uThtī hai kis kis par
dar-e-mai-ḳhāna par ab saiñkaḌoñ mai-ḳhvār baiThe haiñ
huā 'nāmī' jo dil ruḳhsat to ummīd-e-vafā kis se
zamāne meñ bhalā aise kahīñ ġham-ḳhvār baiThe haiñ
na puchh ai ham-nashin hum kis liye lachaar baiThe hain
mataa-e-jaan-o-iman kho chuke hain haar baiThe hain
kisi ke gham mein jaan-e-zar se bezar baiThe hain
uTha hai dard sa pahlu mein hum lachaar baiThe hain
KHabar bhi hai tumhein uftadgan-e-ku-e-ulfat ki
hazaron chahne wale pas-e-diwar baiThe hain
masiha safh-e-hasti pe junun ko dagh samjha hai
wo tere chahne wale tere bimar baiThe hain
nigah-e-mast se apni kaho tayyar ho jae
ki diwane tumhaare aaj phir hushiyar baiThe hain
saza kya bargah-e-naz se milti hai dekhenge
gunah-garan-e-ulfat der se tayyar baiThe hain
nigah-e-lutf-e-saqi dekhiye uThti hai kis kis par
dar-e-mai-KHana par ab sainkaDon mai-KHwar baiThe hain
hua 'nami' jo dil ruKHsat to ummid-e-wafa kis se
zamane mein bhala aise kahin gham-KHwar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.