na puchh dekh ke kitna malal hota hai
na pūchh dekh ke kitnā malāl hotā hai
jo ḳhvāb dekhne vāloñ kā haal hotā hai
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī lagā.ī jaatī hai
aur is ke ba.ad hamīñ se savāl hotā hai
jab aa.ī shām-s-masāfat to phir ye raaz khulā
zarā sī der uruuj o zavāl hotā hai
har ek shaḳhs kī apnī hī ek duniyā hai
kahāñ kisī ko kisī kā ḳhayāl hotā hai
har ek auj-e-mohabbat pe aa nahīñ saktā
kisī kisī meñ hī aisā kamāl hotā hai
rukī huī huuñ ik aaise savāl par 'shabnam'
javāb jis kā hamesha muhāl hotā hai
na puchh dekh ke kitna malal hota hai
jo KHwab dekhne walon ka haal hota hai
labon pe mohr-e-KHamoshi lagai jati hai
aur is ke baad hamin se sawal hota hai
jab aai sham-s-masafat to phir ye raaz khula
zara si der uruj o zawal hota hai
har ek shaKHs ki apni hi ek duniya hai
kahan kisi ko kisi ka KHayal hota hai
har ek auj-e-mohabbat pe aa nahin sakta
kisi kisi mein hi aisa kamal hota hai
ruki hui hun ek aaise sawal par 'shabnam'
jawab jis ka hamesha muhaal hota hai
- Book : Musaafat Raigaan Thi (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.