na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla
na pūchh dil ke ḳharābe se aur kyā niklā
baḌī talāsh ke ba.ad ek naqsh-e-pā niklā
ruke to chāñd bahut duur thā tasavvur se
chale to chaar hī qadmoñ kā fāslā niklā
ḳhirad ke phuul to murjhā ga.e bahāroñ meñ
junūñ kā zaḳhm ḳhizāñ meñ harā-bharā niklā
siyāh raat meñ lau de uThe lahū ke charāġh
rubāb-e-ishq se vo shola-e-navā niklā
safar-e-shabāb kā had-darja muḳhtasar thā magar
bahut tavīl sarāboñ kā silsila niklā
nigāh-e-nāz meñ mastī bhī hai taqaddus bhī
sharāb-ḳhāne kā mandir se rābta niklā
visāl-e-yār to qismat kī baat hai be-shak
ḳhayāl-e-yār bhī ham se bahut ḳhafā niklā
nigār-e-sher ne sola-siñgār jis meñ kiye
vo aa.ina mire ashkoñ kā ā.īnā niklā
kamāl-e-chashm-e-nazāra to dekhiye ai 'prem'
bayāz-e-jism kā har raaz ḳhushnumā niklā
na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla
baDi talash ke baad ek naqsh-e-pa nikla
ruke to chand bahut dur tha tasawwur se
chale to chaar hi qadmon ka fasla nikla
KHirad ke phul to murjha gae bahaaron mein
junun ka zaKHm KHizan mein hara-bhara nikla
siyah raat mein lau de uThe lahu ke charagh
rubab-e-ishq se wo shola-e-nawa nikla
safar-e-shabab ka had-darja muKHtasar tha magar
bahut tawil sarabon ka silsila nikla
nigah-e-naz mein masti bhi hai taqaddus bhi
sharab-KHane ka mandir se rabta nikla
visal-e-yar to qismat ki baat hai be-shak
KHayal-e-yar bhi hum se bahut KHafa nikla
nigar-e-sher ne sola-singar jis mein kiye
wo aaina mere ashkon ka aaina nikla
kamal-e-chashm-e-nazara to dekhiye ai 'prem'
bayaz-e-jism ka har raaz KHushnuma nikla
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 99)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.